احساس کی ندی کہانی... ehsaas ki nadi kahani
Ehsaas ki nadi kahani ek tha aadmi usay apnon ki haqeeqat jannay ka shoq tha . hazaar tarkeebain lara chuka tha mutmain na hua kisi ne bataya door daraaz ilaqay main ek ehsaas ki nadi hay wahan jao tu sab idraak ho jaatay ... woh din raat mehv safar raha kathnaayaan saheen aakhir pohanch hi gaya dekha bs ek nadi na koi ird gird marghazaar na oonchay oonchay pahaar kuch pathar ter rhay thay .. usay ehsaas hua kitni faltoo si nadi ke liye us nay itna safar tay kia usay is nadi say kisi qisam ki koi ghair muraai taaqat ki umeed tu nahin thi mgr younhi us nay azmaanay ko apne sab apnon ke naam likh daalay pehle naam ki parchi daali nadi ke paani ki satah past hui dosri daali paani mazeed kam hua.. woh heraan hua kia maajra hay us ne sab parchiaan ikathay daal deen nadi ka paani kam hotay hotay chotay say naalay ke barabar reh gaya us ne ghusay say socha yaani meray apne aisay hain k unki wajah say ehsaas ki nadi ka paani kam hogaya.. behr haal usay apnay a...