سانپ کہانی saanp aur aadmi kahani

saanp kahani
ek tha aadmi us nay saanp paala hua tha 
saanp nay kabhi aadmi ko kaata nahi tha ek din us ne socha k woh saanp ko kaat ke dekhay woh zehreela hay ya nahi
us nay saanp ki gardan main daant gaar diye 
saanp tarpa aur mer gaya 
aur 
aadmi bhi...
kia saanp zehreela tha?
nahi
kia aadmi zehreela tha?
nahi 
aadmi is liye mra kiun k saanp nay usay jawaab main kaat nahi
saanp ko yeh gham khaa gaya mujhe is aadmi nay kaat khaya ...
nateeja : jaan lenay ka shoq jaan lewa hota hay


by hajoom e tanhai 
سانپ کہانی 
ایک تھا آدمی اس نے سانپ پال رکھا تھا سانپ نے کبھی اسکو کاٹا نہیں تھا . ایک دن اس نے سوچا کے وہ سانپ کو کاٹ کے دیکھے وہ زہریلا ہے یا نہیں 
اس نے سانپ کی گردن میں دانت گاڑ دئیے
سانپ تڑپا مر گیا
اور آدمی بھی 
کیا سانپ زہریلا تھا؟
نہیں
کیا آدمی زہریلا تھا؟
نہیں
آدمی اس لئے مرا کیوں کے سانپ نے اسے جواب میں کاٹا نہیں
سانپ کو یہ غم کھا گیا مجھے اس آدمی نے کاٹ کھایا
نتیجہ : جان لینے کا شوق جان لیوا ہوتا ہے


از قلم ہجوم تنہائی

No comments:

short story

udaas urdu status

urduz.com kuch acha perho #urduz #urduqoutes #urdushayari #urduwood #UrduNews #urdulovers #urdu #urdupoetry #awqalezareen