مختصر کہانی سلسلہ
غریب کی کہانی
ایک تھا میں مگر اکیلا نہیں تھا گرد لوگ بھی تھے خوش ہونے والے بھی تھے
جلنے والے بھی تھے
مجھے لگتا تھا مرے گرد جو ہیں وہ مجھ سے واسطہ رکھتے ہیں
مجھ سے واسطہ رکھنا چاہتے ہیں
ایک دن اپنے گمان سے باہر نکل آیا
میں نے لوگوں کے رویے بدلتے دیکھے جب میں قیمتی گاڑ ی سے مہنگے لباس میں ملبوس اترا
رشک حسد کیا کچھ نہ تھا ؟ ان مرعوب چہروں پر میرے لئے
وہی میں تھا
وہی لوگ تھے مگر سب بدل چکا تھا
رویے بدل چکے تھے
یہ سب دیکھ کر مرے اندر کا ایک غریب
بے مایا شخص اپنے جھوٹے ظاہر کے پرستار کھوٹے سکوں کے نہال چہرے دیکھ کر
بے بسی سے رو پڑا
نتیجہ : غریب لوگ ہوتے ہیں وہ جو غریب سے نہیں ہوتے ہیں
Hajoom E Tanhai
alone?join hajoom
Mukhtasir kahani silsila
Ghareeb ki kahani
Ek tha main magar akela nahi tha
gird log bhi thay khush honay walay bhi thay
jalnay walay bhi thay
mujhay lgta ta meray gird ju hain
woh mujh se waasta rekhte hain
mujh se waasta rekhna chahtay hain
ek din main apne gumaan se bahar nikal aaya
main ne logon ke rawaiyay badaltay dekhay jab main qeemti gaari
se mehngay libaas main malboos utra
rashk hasad kia kuch na tha?
un mar oob(impress ho jana ) chehroun per meray liye
wohi main tha
wohi log thay magar sab badal chuka tha
rawayay badal chukay thay
yeh sab dekh ker meray andar ka ek ghareeb be maaya shakhs apne jhootay zaahir ke parastar khotay
sikoun ke nihaal chehre dekh ker bay basi se ro para
nateeja : ghareeb log hotay hain woh ju ghareeb se nahi hotay hain
از قلم ہجوم تنہائی
Hajoom E Tanhai
alone?join hajoom
No comments:
Post a Comment